Teri aankhon ki namkeen mastiyaan Teri hansi ki beparwah gustaakhiyaan Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan Nahin bhoolunga main Jab tak hai jaan. Jab tak hai jaan
Tera haath se haath chodna Tera saayon ka rukh modna Tera palat ke phir na dekhna Najin maaf karunga main Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan
Baarishon mein bedhadak tere naachne se Baat baat pe bewajah tere roothne se Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se Mohabbat karunga main Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..
Tere jhoothe kasme vaadon se Tere jalte sulagte khwabon se Teri be-raham duaaon se Nafrat karunga main Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
ԿԻՍՎԵՔ ԸՆԿԵՐՆԵՐԻ ՀԵՏ