Khul Ke Muskurale Tu Dard Ko Sharmaney De Boondon Ko Dhartee Par Saaz Ek Bajaney De
Hawayen Keh Rahee Hain, Aaja Jhoolein Zara Gagan Ke Gaal Ko Jakey Choolein Zara Utaar Gham Ke Mozey, Zamein Ko Gungunaney De Kankaron Ko Talwon Main Gudgudee Machaney De Khul Ke Muskuraley...Saaz Ek Bajaney De
Jheel Ek Aadat Hai, Tujhmey Hee To Rehtee Hai Aur Nadee Shararat Hai, Terey Sang Behtee Hai Har Lehar Yeh Kehtee Hai, Khud Ko Jhoom Janey De Zindagi Ko Aaj Naya Geet Koi Ganey De Khul Ke Muskuraley...Saaz Ek Bajaney De
Bansuree Ki Khidkyon Pe Sur Yeh Kyon Thithaktey Hain Ankh Key Samander Kyon Bewajeh Chalaktey Hain Titlyan Yeh Kehtee Hain Ab Basant Aaney De Jungalon Ke Mausam Ko Bastiyon Mein Chaney De.
Khul Ke Muskuraley...Saaz Ek Bajaney De
ԿԻՍՎԵՔ ԸՆԿԵՐՆԵՐԻ ՀԵՏ