Saathiya ... Saathiya maddham maddham teri ye geeli hansi saathiya ... saathiya sun ke ham ne saari pee li hansi
hansti rahe tu hansti rahe hayaa kee laalee khilatee rahe zulf ke neeche gardan pe subah-o-shaam milatee rahe hansti rahe tu hansti rahe hayaa kee laalee khilatee rahe zulf ke neeche gardan pe subah-o-shaam milatee rahe sondhee see hansi teree khilatee rahe milatee rahe
peelee dhoop pahan ke tuum dekho baag mein math jaana bhanware tum ko sab chhedenge phoolon mein math jaanaa maddham maddham hans de phir se sona sona phir se hans de taazaa gire patte ki tarah sabz lawn par lete huey saath rang hain bahaaron ke ek adaa mein lapete huey saawan bhaadon saare tujh se mousam mousam hanste rahnaa maddham maddham hanste rahnaa saathiya ... saathiya maddham maddham teri ye geeli hansi saathiya ... saathiya sun ke ham ne saari pee li hansi
kabhee neele aasmaan pe chalo ghoomanein chalein ham koi abr mil gayaa to zameen pe baras lein ham teri baalee hil gaee hai kabhee shab chamak uthee hai kabhee shaam khil gayee hai
tere baalon kee panaah mein is siyaah raath guzare teri kaalee kaalee aankhein koi ujalee baath uthare teree ik hansee ke badale meree ye zameen le le meraa aasmaan le le saathiya ... saathiya maddham maddham teri ye geeli hansi saathiya ... saathiya sun ke ham ne saari pee li hansi
barf giree ho vaadee mein oon mein lipatee simatee huyee barf giree ho vaadee mein aur hansee teree goonjee oon mein lipatee simatee huyee baath kare dhuvaan nikale garam garam ujlaa dhuvaan naram naram ujalaa dhuvaan
ԿԻՍՎԵՔ ԸՆԿԵՐՆԵՐԻ ՀԵՏ